NaKaam Hasraton Ke Siva Kuch Nahi Raha

NaKaam Hasraton Ke Siva Kuch Nahi Raha
Dunia Main Ab Dukhon Ke Siva Kuch Nahi Raha
Ek Umar Ho Gayee Hai Ke Dil Ki Kitab Main
.Kuch Khushk Patton Ke Siva Kuch Nahi Raha
Yaden Kuch Is Tarha Se Sama’at Pay Chaa Gaeen
Pichli Rafaqton Ke Siva Kuch Nahi Raha
Lab See Liay Tu Apnay Hi Kamray Main Youn Laga
Khamosh Aayino Ke Siva Kuch Nahi Raha
Jazbay Tamam Kho Gaiay Lamhon Ki Dhool Main
Ab Dil Main Dharkanon Ke Siva Kuch Nahi Raha
Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon

Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon
Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardoon
Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai
Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kar doon
Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhardoon
Phir apni Zaat apna her Payam Tere Naam kardo
Tuu Mujhey Mohabbat ka Agaaz de Sanam
Mai Apne Pyaar ka Anjaam Tere Naam kardoon
Mohabbaton ke Qaseeday likhoon Teri Sanaa mai
Hazaron Pyaar ke Peghaam Tere Naam kardoon
Ho jiska Zikar Mohabbat ki her kahani mai
Ek aisa Pyaar ka Peghaam Tere Naam kardoon'
Tuje dekhe bina teri tasvir bana sakta hoon

Tuje dekhe bina teri tasvir bana sakta hoon
Tuje mile bina tera hal bata sakta hoon
meri dosti me itna dum hai keh
teri ankh ka "ANSU"
APNI ankh se gira sakta hoon.
Saja saktay thay yadoon k kaye chahray kaye paikar
Magar kuch soch k hum nay yeh ghar weeran rakha hai
Humain shoq e aziat hai wagarn is zamanay main
Tairi yadain bhoolany ko bohat saman rakha hai
Tumhain yeh man-na hoga k hum nay apnay lab see kar
Sakoot e shub ki muthhi main koi toofan rakha hai..

Usey apney farda kifikr thi wojo mera wakif-e-haal tha
Wo jo us ki subh-e-urooj thi wohi mera waqt-e-zawaal tha
Kahan jao ge mujhe chor kr mei ye poochpooch k thak gea
Wo jawab bhi na de saka wo to khud sarapa sawaal tha
Wo jo us ke samne aa gea wohi roshni mein naha gea
Ajab us ki haibat-e-husan thi ajab uska rang-e-jamal tha
Dam-e-wapsi pe kia hua na wo roshni na wo taazgi
Wo sitara kaise bikhar gea wo to ap apni misaal tha
Sadion k baad mila b to merey lab pe koi gila na tha
Ussey meri chup ne rula diya jise guftagu mein kamaal tha
Wo mujhe se mil k ro diya faqt itna wo keh saka
Jise jaanta tha wo zindagi wo to bas wahm-o-khayaal tha..
Main wakt key kohsaar pe sadion se khara hun

Main wakt key kohsaar pe sadion se khara hun
hathon main mere dard e mohabbat ka alum hai
ye sab to teri shokh nigahon ka bharem hai
poojon to Khuda hath lagaon to sanam hai...
Na thi humari kismat ke wisaley yaar hota
Agar aur zinda rehtey to yehi intezar hota
Teray waadey pe jiye to yeh jhoot jaana
Khushi se mar na jatey agar aitebar hota..
Ik shakhs ke kho janay ka dar kiyun nahin jata
Ye bhoj mere dil se utar kiyun nahin jata
Manzil pe puhanch kar usay khona pade ga
Ye tay hai to phir shauq-e-safar kiyun nahin jata
Ye bhoj mere dil se utar kiyun nahin jata
Manzil pe puhanch kar usay khona pade ga
Ye tay hai to phir shauq-e-safar kiyun nahin jata

Ik diya dil main jalana bhi bujha bhi dena
yaad karna bhi usse rooz bhula bhi dena
Kya kahon yeh meri chahat hai ke nafrat uss ki?
naam likhna bhi mera likh ke mita bhi dena
Phir nah milne ko bicharta tu hoon tujh se lekin
morr ke dekhon tu palatne ki dua bhi dena
Khat bhi likhna usse mayoos bhi rehna uss se
jurm karna bhi magar khud ko saza bhi dena
Mujh ko rasmoon ka takaluf bhi gawara lekin
Ji main aay to yeh diwaar gira bhi daina..
Baray mukhtsir se haroof main koi gehri baat suna gia

Baray mukhtsir se haroof main koi gehri baat suna gia
kisi khawb sa koi shakhs tha jo sehar se pehlay chala gia
Humain asman se gila nahin teri rehmaton pe yaqeen hay
jahan zindagi nain shikist di kisi mojazay nain bacha lia
Kisi mehraban ki duaon se ye safar naseeb huwa mujhay
jinhain rehbari ka gharoor tha unhain raston nain mita dia
Sada hansty rehnay ka hosala teri aarzoo nain ata kia
baray gehray zakhm thy waqt nain jinhain rafta rafta bhula dia
Teri dosti ki ye peshkash bari dilferaib lagi magar
woh jo atbar ka wasf tha kahin dil se door chala gia
Koi waqt tha ke ye naam bhi bara motabir tha jahan main
woh jo tery ishq ka dor tha humain ba kamal bana gia..

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Meri Jaagi Howi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah Meray Hontoon Pay Machalta Hai To Naghma Banker
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak Rouh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker
Mera Kiya Hall Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Wadah Banker
Dhoup Main Khou Giya Woh Haath Chhura Kar Gher Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker
Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker ..

Hogaye rukhsat ghata barish k baaad
Aik diya jalta raha barish k baaad
Meray behtay huyey Anson ko dekh ker
Roo pari thandi hawa barish k baad
Meri tanhai ka daman tham ker
Kuch udasii nay kaha Barish k baaad
Yaad teri Orh ker main so gaya
Khwab ka daar khul gaya barish k baad
Chand dekh ker badloon ki qaid main
Aik sitara roo dia barish k baaad
Apnay ghar ki her katchi dewar per
Naam tera likh dia barish k baaad..
Woh Silsalay, Woh Shok, Woh Nisbat Nahi Rahi
Ab Zindagi Main Hijer Ki Wehshat Nahi Rahi
Toota Hai Jab se Uski Masihai Ka Talism
Dil Ko Kissi Masiha Ki Haajat Nahi Rahi
Phir Yu Hua Kay Koi Shanasaa Nahi Raha
Phir Yu Hua Kay Dard Main Shiddat Nahi Rahi
Phir Yu Hua Kay Ho Gaya Masroof Woh Bohat
Aur Humko Yaad Kernay Ki Fursat Nahi Rahi
Ab Kya Kissi Ko Chahein K Hum Ko Toh In Dino
Khud Apne Ap Se Bhi Muhabbat Nahi Rahi...!!!
Tub tumhara dil
Kabhii aah lab pe machal gaii
Kabhii ashk aankh se dhal gaye
Vo tumhaare gham ke chiraagh hain
Kabhii bujh gaye kabhii jal gaye
Main khayaal-o-khvaab kii mahfilein
Na baqadr-e-shauq sajaa saka
Tumhaarii ik nazar ke saath hii
Mere sab iraade badal gaye
Kabhii rang mein kabhii ruup mein
Kabhii chaanv mein kabhii dhuup mein
Kahiin aaftaab-e-nazar hain vo
Kahiin maahtaab men dhal gaye
Jo fanaa huye gham-e-ishq mein
Unhein zindagii kaa na gham huaa
Jo na apnii aag mein jal sake
Vo paraaii aag mein jal gaye
Yaa unhen bhii merii tarah junuun
To phir un mein mujh mein ye farq kyaa
Main giraft-e-gham se na bach sakaa
Vo huduud-e-gham se nikal gaye..
Kabhii ashk aankh se dhal gaye
Vo tumhaare gham ke chiraagh hain
Kabhii bujh gaye kabhii jal gaye
Main khayaal-o-khvaab kii mahfilein
Na baqadr-e-shauq sajaa saka
Tumhaarii ik nazar ke saath hii
Mere sab iraade badal gaye
Kabhii rang mein kabhii ruup mein
Kabhii chaanv mein kabhii dhuup mein
Kahiin aaftaab-e-nazar hain vo
Kahiin maahtaab men dhal gaye
Jo fanaa huye gham-e-ishq mein
Unhein zindagii kaa na gham huaa
Jo na apnii aag mein jal sake
Vo paraaii aag mein jal gaye
Yaa unhen bhii merii tarah junuun
To phir un mein mujh mein ye farq kyaa
Main giraft-e-gham se na bach sakaa
Vo huduud-e-gham se nikal gaye..

Phir kisi yaad nay rulaya mujhko
Kiya saza di hai mohabat ne mujhko
*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*
Din ko aaram hai na rat ko hai chain
Jaane kis mitti ka qudrat ne banaya mujhko
*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*
Dukh to ye hai ki zamane main mile ghair sabhi
Jo mila, woh mila ban ke paraya mujhko
*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*
Jab na mila kandha muje rone ko Ghar ki
deewaron ne seene se lagaya mujhko
*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*
yun to wafa ka sila tum se nai tha koi Phir
charaghon ki tarah kis ne jalaya mujhko
*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*
Bewafa zindagi ne jab chorh diya hai tanha
*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*
Woh diya hoon jo mohabat ne jalaya tha kabhi
Gham ki andhi ne ek pal main bujhaya mujhko
*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*
kaise bhoolonge pyare ke vo lamhe
Yaad aate hai guzare hue lamhe mujhko
*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*
By: Sweet Ghazal
*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*~*~*~ *~*~*~*~*
Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar,
Dil Se Dil Ka Rishta Apni Jagah,
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen,
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah,
By Sweet Ghazal
Dil Se Dil Ka Rishta Apni Jagah,
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen,
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah,
By Sweet Ghazal

Mujhe or us ki khabar nahi mujhe or us ka pata nahi
magar itna mujh ko yakeen hai k woh shakhs dil ka bura nahi
Yeh malaal kaisa malaal hai tere dil mein bhi mere dil mein
kah khafa hain kitne dinoo se hum per labon pe koi gila nahi
Yeh gaye dinoo ka hai maajra, mera chehra tha uss ka aaina
yeh hai aaj subah ka vakeya, mujhe dekh k woh ruka nahi
Tujhe bhoolne ki saza hai yeh, k kitni bahaarein guzar gayi
koi nazm dil mein khili nahi, koi sher dil mein khila nahi..