SMS FUN SEARCH

Saturday, August 21, 2010

Pyari Betiyaan



1-Shayad yeh waqt humse koi chaal chal gaya,
rishta wafa ka aur hi rangon mein dhal gaya,
ashqon ki chandni se thi behtar woh dhoop hi,
uss modd se shuru kare phir se zindagi…


2-Ahista ahista aapka yakeen karne lage hain….
Ahista ahista aapke kareeb aane lage hain…
Dil tho dene se ghabraathe hain…
Magar ahista ahista aapke dil ki kadar karne lage hain….
Aapse kaha nahi kuch humne…
Magar ahista ahista aapke lafzon per aetebaar karne lage hain…
Aapka dil dharaktha hai tho…
Ahista ahista humme wo dharkane sunaaye dene lagthi hain…
Aapki aankhon mein jo mohabbat hai…
Ahista ahista wo humme nazar aane lagi hai…
Aapse milkar yaad aane lagi wo beethi hui baatein…
Magar ab ahista ahista bhulaane lage hain hum wo dard ka ehsas….
Najaane kyun badal ne lagi hai yeh soch hamaari…
Magar ahista ahista saare shikwe gile mitne lage hain…
3-Tapte huve hai dil tadpenge kya kare
Yaden ik jahar hai peete hai kya kare
Tumko har janam me mange.ge bar bar
Tum na suno to tumhi batao kya kare
Phursat mile jo tumko kabhi humse aake mil
Hur pal tum hi tum ho batao ki kya kare
Apni ankhon me chhupa le ya tumhare dil me chhup jayen
Tum hi jab pass na aao to kya karen.

4-Dushman bhi pesh aaye hai dildar ki tarah,,
Nafrat milee hai unse mujhe pyaar ki tarah.
Kaise milenge chanhne wale bataiye,
Duniya khadi hai rah mein deewarki tarah.
Woh bewafai kar ke bhi sharminda na hue,
Sooli pe hum chadhe hai gunahgar ki tarah.
Toofon mein mujh ko chod kar woh log chal diye,
Sahil pe they jo sath mein patwar ki tarah.
Chehre pe hadsoo ne likheen woh ibaratein.
Padhane laga har koi mujhe akhbar ke tarah.
Dushman bhi hoo gaye hain maseeha sifat Jamal
Milte hain toot kar woh gale yaar ki tarah.
5-Khila phool bagiya meheki
Yeh to duniyaka hai dastoor
Agar bhanware mandarane lage
To ismein phoolka kya kasoor?
Phoolko kya pata bhanwareki gunjanka
Woh to tha apnihi dhunmein choor
Agar bhanwareko lagta hai bura
To chala jaye woh us phoolse door


6-Jeevan ke safar me eekathe chal
Kar bichadna hai
Ek ankh se rona hai to
Ek ankh se hasna hai.
Kal hum yaad tumhe aayenge
Dil me ek kasak chhod jayenge
Chah kar bhi pal lauta na sakenge
Dil ki kasak ko mita na sakenge.
Yaad tumhari jab aayegi
Ankh ashkon se bhar jayegi
Kahne ko to jindagi gujar jayegi
Par tumhari kami hamesha rulayegi
Yaad karke hume tum ankh nam na karna
Dil me milne ki tamanna rakhna.


No comments:

Post a Comment